Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

A. Nafees
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono 


Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki 
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se 

Na Merey Dil Ki Dharhkan Lar-kharhaaye Meri Baaton Mein 
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se

Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter 
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha 

Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin 
Usey Ek Khoob Soorat Mor De Kar Chorhna Acha

Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se 
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain
 
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki 
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono


thank u :)