Famous Dialogues of Versatile Indian Actor - Raaj Kumar (One My Ever Favourite!)

A. Nafees

-"Kahte hain har dayar mein aati hai phir bahar
Khilte hain phool bhi wahan daur e khizaan k bad
....
Lekin ye jhoot hai meri veeran zindagi mein ek muddat se phool nahi khilay"
 -- Maryaada 1971 film

-"Mein jo chaahta hoon wo paata nahi, aur jo paata hoon wo mehaz itefaaq hai."
 -- Maryaada 1971 film 


-"Aapke paon dekhe, bahut haseen hai. Inhe zameen par mat utariyega, maile ho jayenge"
 -- Pakeeza 1972 film 



-"Chinai Seth, chhuri bachchon ke khelne ki cheez nahin hoti, haath kat jaye toh khoon nikal aata hai"
 -- Waqt 1965 film 

-"Jinke ghar sheeshe ke hote hain woh doosron ke gharron par patthar nahi phenka karte"
 -- Waqt 1965 film 

-"Khaash ke tumne hum mein aawaaz di hoti ... toh hum maut ki neend se uthkar chale aate"
 -- Saudagar 

 -"Hum aankhon se soorma nahin churate ... hum aankhen hi chura lete hain"
 -- Tiranga



-"Hum tumhe woh maut denge ... joh na to kisi kanoon ki kitaab mein likhi hogi ... aur naahi kabhi kisi mujrim ne soochi hogi"
 -- Tiranga

-"Bootiyan nochne waala geedar ... gala phadne se sher nahin ban jaata"
 -- Marte Dam Tak

-"Hum kutton se baat nahi kerte!"
 -- Marte Dam Tak

-"Hum apne kadmo ki aahat se hawa ka rukh badal dete hai"
-- Bataaj Baadshah


-"Jab hum muskurate hai ... toh dushmano ke dil dahil jaate hai"
 -- Betaaj Baadshah

-"Humko mitta sake yeh zamane mein dum nahin ... humse zamana khud hain ... zamane se hum nahin"
 -- Bulandi

-"Jab sar par burre din mandraate hai ... toh zabaan lambi ho jaati hai"
 -- Bulandi

-"Joh bhaari nah ho ... woh dushmani hi kya"
 -- Tiranga


-"Aurron ki zameen sirf zameen hai ... aur hamari zameen ek gardish"
 -- Betaaj Badshah

-"Telephone uthakar khamosh rehna mardo ka kaam nahi hai"
 -- Marte Dam Tak

-"Toofan mein hum apni khushi chahte hai ... jaan hatheli pe liye jee jaate hai ... tum woh joh samundar jinhe kha jaata hai ... hum woh joh samundar ko pee jaate hai"
 -- Police Public

-"Aaj kal ka ishq janamo ka rog nahi hai ... waqti nasha hai shaam ko hota hai, subah utar jaata hai"
 -- Betaaj Baadshah

-"Layega mere dil ki tadap, koi kahan se ... sun.na hai mera haal, sunno meri zabaan se"
 --Heer Ranjha

-"Iraada paida karo, iraada ... iraade se asmaan ka chaand bhi insaan ke kadmo mein sajda karta hai"
 -- Bulandi


-"Taqat par tameez ki lagaam zaroori hai ... lekin itni nahi ki buzdili ban jaye"
 -- Saudagar


Thank You!

Please like https://www.facebook.com/pages/Shab-e-Tanhai-%D8%B4%D8%A8%D9%90-%D8%AA%D9%86%DB%81%D8%A7%D8%A6/558397274219207

and follow me at https://www.facebook.com/amnanafeesahmad