Hum ne kab maani thi baat zamanay ki

A. Nafees
Apne aap se phirtey hain beganay kiun,
Shehar mein akar log huwe deewane kiun,
*~*~*~*~*~*~*
Hum ne kab maani thi baat zamanay ki,
Aaj hamari baat zamana maanay kiun,
*~*~*~*~*~*~*
Woh jungle ke phoolon per kiun marta hai,
Us ko ache lagte hain veeraney kiun,
*~*~*~*~*~*~*
Sachi baat se ghabraney ki aadat kya,
Jhootey logon se apne yaraanay kion,
*~*~*~*~*~*~*
Halwat mein jo aankh milatay darta ho,
Mailay mein woh shakhs humain pehchanay kiun,
*~*~*~*~*~*~*
Mohsin jab bhi chaut nayee kha leta hoon,
Dil ko yaad atay hain yaar puranay kiun…

-Mohsin Naqvi