Khuda per Yakeen kijyee.......Yakeen e qaamil! (mazmoon)

A. Nafees
Asalam o alaikum....mein yahan pahli dafa mazmoon likh rahi hoon....yoon kahiye k apne dil ki baat qalam ki nazar ker rahi hun....umeed hai aapko acha lagay ga!

Aksar aisa hota hai kay hum apni zindagi ki raah me bohot pur sakoon safar ker rahay hotay hain......humari zindagi khushiyon se bharpoor hoti hai...hum Khuda kay shukar guzar hotay hain....agarcha chote chote haadsaat to paish atay hee rahtay hain magar hum unka ghum nahi kerte kiun k humari nazar me Khuda ki nai'matain un mushkilaat k muqablay mein bohot bari hoti hain..

Humare darmayan kuch chand hazraaat aise bhi hote hain jinho ne apni palkon talay kuch khuwab saja rakhay hotay hain.....sabse chupa ker....jo sirf Khuda aur unke darmayan ka "top secret" hota hai......wo har roz unhe sochtay hain..apne tassawur me kayee baar un khuwaabo ko jeetay hain.....uskay taqmeel ki duwaien mangtay hain.....unhe upne piyare Rub per poora bharosa hota hai kay Wo jo har amal per Qadir hai Ghalib hai inkay ye khuwab zaroor pooray keray ga.....aur akhir kiun bharosa na ho....Khuda k sath unka khaas...bohot khaas rishta jo hota hai.....Khuda unka "best friend" ban jata hai.....aur unka Khuda pe yahee yakeen yahee bharosa unhe is qaabil bana deta hai k wo upni tamaam Khuwahishain apne tamaam tar khuwaab Khuda kay sapurd kerdete hain kiun k unho Yakeen hota hai k Khuda se bara koi muhafiz nahi aur na hee koi ata kerne wala hai.....Wohi inke ma'soom khuwahishaat ki hifazat keray ga aur unhe paaye-e-taqmeel tuk pohnchaye ga.....lihaaza ye log Khuda k bharosay apni zindagi ka safar aankhain band kerke guzarna shuru kerdete hain kay jab Khuda sath hai to fikar kesi??

Phir jab lagta hai k manzil bus bohot qareeb hai...jese yoon hath barhaya to samjho apni manzil choolaingay.....tab hota kuch yoon hai k ek taiz hawa ka jhonka ata hai aur inhain us manzil se door bohot door le jata hai....wo jo behadd khush hotay hain ye bardaasht nahi kar patay......ye hawa ka jhonka unhain kisi toofan ka sa lagta hai.....ek dam unke sab khuwab kaanch ki kirchiyon ki tarah toot ker bikhar jatay hain.......unki ankhon k samne bilkul samne wo apni khuwahishaat ka chota sa maqan jaltay dekhte hain.....tarapte hain.....sisak.tay hain......tub achanak maayusi me wo upne usi Be-Niyaaz Rab se pahli dafa gila kertay hain......Khuda se shikwa kerte hain.....kay ae mere Rab mene to apna sab kuch tere sapurd kerdiya tha.....Tune kiun mere aashiyanay ki hifazat na ki! Kiun mere khuwaab aise bikhar gaye k inko jama kernay se mere hath zakhmi hotay hain......kay mein in tootay huwe tukro ko apne hathon mein samait sakta hun na he inko aise apni nazron k samne bikhra dekh sakta hun.....Ya-Rab akkhir KIUN??

wo upne Rab se....us Rab se jo sabse bara HIKMAT wala hai.....bara Be-Niyaaz hai....bara Mahar Baan hai....jiski Hikmat insaan ki aqal aur shaa'ur se qoso door hai....jo is insan se 70 maa'on se barh k mohabbat kerta hai.....aise piyare Rab se sawal kerte hain KIUN? aise SAMEE' UL BASEER Rab se jo sab dekh raha hai jo sab sunta hai......aur sun raha hai to jawab bhi zaroor deta hai bus samajhne wali aqal chahiye.....uska jawab samajhna har kisi kay bas ki baat bhi nahi hoti.......per mera yaqeen kijye wo Rab humare har sawal ka Jawab zaroor deta hai jab k humari to itni auqaat bhi nahi k hum us Azeem Zaat se sawal kerain......phir bhi wo Bakhshne wala MaharBaan hai.....Apne banday se bahadd mohabat kerta hai....uskay ek baar pukarnay pe foran jawab deta hai.....


Phir Khuda upne banday ki ankhain kholta hai....usay isharay deta hai phir uska zahan kholta hai taa k wo in isharon ko samajhne k qaabil hojaye.....phir wo banda gaur kerta hai...sochta hai.....wahan usi maur per wapis jata hai jahan hawa ka jhonka us se uski manzil cheen leta hai.......aur kiya dekhta hai! itni bari khaayee!! tub uski samajh mein ata hai kay wo ankhain band kiya kisi galat hee raah me par chal nikla tha....aur Khuda ki maharbaani ye huwi k usay Khayee mein girne se bacha liya......wo gahri khayee jisme gir jata to kabhi baahir na aa pata......usne jab upna sab kuch us Zaat k sapurd ker daala tha to kiya ye mumkin tha kay wo Rab usay khayee mein girnay deta?? wo sharminda hota hai Khuda se upnay shiqwah ki maa'fi mangta hai.....aur upni zindagi ko phir usi bharosay usi yakeen kay sath khushi khushi basar kerne lag jata hai!

Lihaaza doston! Khuda pe yaqeen kijye......Us se barh k koi MaharBaan nahi.....Us se barh ker aapse koi mohabbat nahi ker sakta....jee han aap khud bhi apne aap se is qadar mohabbat nahi kerte jitni Wo kerta hai.....bachay ko zara thokar lag jaye to maa ki taqleef pe gaur keriye ga.....to zara sochiye Wo to 70 maa'on se barh ker mohabbat kerne wala rab hai.....kiya Wo aapko taqleef me tarapta dekh sakta hai??

Khuda per Yakeen kijyee.......Yakeen e qaamil!


parhne ka shukriya!
-Amina Nafees Ahmad