Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla

A. Nafees
Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla
~`~`~`~
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla
~`~`~`~
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla
~`~`~`~
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umar Samajh Rahay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla


-Mohsin Naqvi