Udaas dil ki udaas batein
Samajhnay wala koi to hota
Kay jiski baton sa dil sambhalta
Kay jiski sangat mein dil behalta
Jiski halki si ek jhalak bhi
Humaray dukh ko samait deti
Falak se kushiyaan udail deti
Ye uski nazuk se muskharat
Humara din ki sabhi thakawat ko door karti
Ya phir chamakti wo ankhain uski
Humari hasti ka raaz hoti
Humare dukh ki kitab hoti
Jo hum ko chahta, hum ko parhta
Guzarte lamhon ki sakhtiyon mein
Koi to nazuk mizaj hota.....
Samajhnay wala koi to hota
Kay jiski baton sa dil sambhalta
Kay jiski sangat mein dil behalta
Jiski halki si ek jhalak bhi
Humaray dukh ko samait deti
Falak se kushiyaan udail deti
Ye uski nazuk se muskharat
Humara din ki sabhi thakawat ko door karti
Ya phir chamakti wo ankhain uski
Humari hasti ka raaz hoti
Humare dukh ki kitab hoti
Jo hum ko chahta, hum ko parhta
Guzarte lamhon ki sakhtiyon mein
Koi to nazuk mizaj hota.....