Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chupa Chupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila
Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaaj Pe Hairaan Hai Zindagi Ka Sha'oor
Mein Apni Maut Ko Aksar Galay Laga Ke Mila
Mein us se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila
Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila
Mein Zakhami Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila