Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi

A. Nafees
sad urdu hindi poetry



hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi

aay dil kisay naseeb ye taufeeq-e-istaraab
milti hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi

tere karam se hai aay alam husan aafreen
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi

josh junoon mein dard ki tughyaniyon k saath
ashkon mein dhal gai teri surat kabhi kabhi

tere qareen reh k bhi dil mutma'in na tha
guzri hai mujh pe ye bhi qayamat kabhi kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

aay dost hum ne tark-e-mohabbat k bawajood
mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi

ہوتی ہے تیرے نام سے وحشت کبھی کبھی
برہم ہوئی ہے یوں بھی طبیعت کبھی کبھی

آے دل کسے نصیب یہ توفیقِ استراح
ملتی ہے زندگی میں یہ راحت کبھی کبھی

تیرے کرم سے ہے آے عالم حسن آفرین
دل بن گیا ہے دوست کی خلوت کبھی کبھی

جوشِ جنوں میں درد کی تغیانیوں کے ساتھ
آنسوں میں ڈھل گئی تیری سورت کبھی کبھی

تیرے قریں رہ کے بھی دل مطمئن نہ تھا
گزری ہے مجھ پہ یہ بھی قیامت کبھی کبھی

کچھ اپنا ہوش تھا نہ تمہارا خیال تھا
یوں بھی گزر گئی شبِ فرقت کبھی کبھی

آے دوست ہم نے ترکِ محبت کے باوجود
محسوس کی ہے تیری ضرورت کبھی کبھی