phir barq faroozaan hai sar e wadiye sina - aye deeda e beena

A. Nafees
phir barq faroozaan hai sar e wadiye sina
phir rang pe hai shola e rukhsar e hakeekat
pegham e ajal dawate deedar e haqeeqat
aye deeda e beena
ab waqt hai deedar ka dam hai k nahi hai
ab qaatil e jaan charagar e qulfat e gham hai
gulzar e iram partau e sehra e adam hai
pindar e junoon
hosala e rah e adam hai k nahi hai
phir barq faroozaan hai sar e wadiye sina
aye deeda e beena

phir dil ko musaffa karo is loh pe shayad
mabaen e man o tu naya paimaan koi utray
ab rasm e sitam hikmat e khasan e zameen hai
taeed e sitam maslihat e mufti e deen hai
ab sadyion k iqrar e ita'at ko badalnay
lazim hai k inkaar ka farmaan koi utray

aur Suno keh shayad,
yeh noor e saiqal...
Hay uss saheefay ka harf e awwal
jo har kass o nakas e zameen par
Dil e gadayan e ajmaeen par
Utar raha hay falak say ab kay
suno sark e lam yazal k
humhi tumhi bandagaan e baybas
aleem bhi hain khabeer bhi hain
suno ke hum bezuban o be kas
bashir bhi hain nazir bhi hain

aur har ek ul al amar ko sada do ke
apni fard e amal sumbhalay
uthay ga jab jam e sarfaroshaan
parain gay dar o rasan k lalay
koi na hoga ke jo bacha lay
jaza saza sab yeheen pe hogi
yeheen azab o sawab ho ga
yeheen say uthay ga shor e mehshar
yeheen pe roz e hisab hoga ...

-Faiz Ahmed Faiz