Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho

A. Nafees

Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho
Wohi yani wada nibah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho

Woh jo lutf mujh pe the peshtar, woh karam ke tha mere haal par
Mujhe sab hai yaad zara zara, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho

Woh naye gile woh shikaayatein’, woh maze maze ki hikaayatein
Woh har aik baat pe roothna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho

Kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
Wo bayan shauq ka baramala tumhen yaad ho ki na yaad ho

Hue itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
Gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho

Koi aisi bat agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
To bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho

Kabhi ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi
Kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na yad ho

Suno zikr hai kai sal ka k kiya ek apne waada tha
So nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho

Kaha mene baat wo kothay ki mere dil se saaf utar gayee
To kaha k janay meri bala, tumhe yaad ho k na yaad ho

Wo bigarna wasl ki raat ka wo na man.na kisi baat ka
Wo nahi nahi ki har aan ada tumhe yaad ho k na yaad ho

Jisay aap gintay thay aashna jisay ap kahte thay Bawafa
Mein wohi hun Momin e mubtala tumhe yaad ho k na yaad ho

-Momin Khan Momin