Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte - Naat Lyrics in Urdu - Lyrics in English

A. Nafees

 

Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte


Haqeeqat Me Wo Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad-E-Mustafa Se Dil Ko Behlaya Nahi Kartay

Zaban Per Shikwae Ranj O Alam Laya Nahi Karte
Nabi Kay Naam Lewa Gham Say Ghabraya Nahi Karte

Ye Darbar-E-Mohammad Hai Yahan Apnon Ka Kiya Kahna
Yahan Se Hath Khali Gair Bhi Jaya Nehi Karte

Are O Na Samaj Qurbaan Hoja Inke Roze Par
Yeh Lamhe Zindagi Me Baar Baar Aya Nehin Karte

Ye He Darbaar E Muhammed Hai Yahaan Milta Hei Be-mange
Are Nadan Yahaan Daman Ko Phelaya Nehi Karte

Madine Jo Bhi Jata Hai, Wo Jholi Bhar Kay Lata Hai
Sakhi Data Hain Khali Hath Lotaya Nahi Kartay

Mohammad Mustafa Key Bagh Key Sabh Phool Aise Hain
Jo Bepani Ke Tar Rehte Hain Murjaya Nahi Karte

Nadamat Sath Le Kar Hashr Mein Ae Aasio Jana
Suna Hei Sharm Waloon Ko Wo Sharmaya Nahi Karte

Jo Unke Damaan-E-Rehmet Say Wabasta Hai Ae Hamid
Kisi Kay Samnay Wo Haath Phelaya Nahi Karte

Muhammad Mustafa Ki Shaan E Rahmet To Zara Dekho,
Sitam Sahte To Hain Lekin Sitam Dikhaya Nahi Karte

Agar Ho Jazba E Sadiq To Aksar Humne Dekha Hai
Wo Khud Tashreef Le Atay Hain Tarpaya Nahi Karte

Haqeeqat Me Wo Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad E Mustafa Se Dil Ko Garmaya Nahi Karte

Haqeeqat Mein Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte