Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai

A. Nafees
Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawab jesa hai,

Yeh talkh talkh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,

Bara taveel, neehayat haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,

Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,

Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,

Chamak uthay to samandar, bujhay to rait ke lahar,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,

Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..